Advertisment

Zamana pyaar

Zamana pyaar ka itna hi kam hay
Yeh na jana tha
Hamara sath bas do hi qadam hay
Yeh na jana tha
Khushi agaaz tha meri mohabbat
k fasane ka
Wafa ne khuwaab dekha tha
Nayi duniya basane ka
Magar is khuwaab ki tahbir gham hay
Yeh na jana tha
Bari rangeen baharoon main
Jale ga ashiyaan mera
Lute ga istara manzil pe a k
Kaarwan mera
Mujhe teri mohabbat ki kasam hay
Yeh na jana tha

Sameer +92 300 2711 588
~ Tum Bin ~

Advertisment


0.0653760433197