Looking For Ghazal Sms? Find latest / new ghazal sms, urdu ghazal sms, hindi ghazal sms, english ghazal sms, roman ghazal sms, You will find all the Ghazal Sms related messages here.
Aap tanha ho,Mien tanha hon,Chalo Khwab nagar mien chaltay hain,jahan pyar ki barish hoti ha,aur sukh ke deep jaltay hain,jahan pat'jhar mien bhi phool khilen aur sard hawaen garm lagen,
cham cham kar k khushyan barsien,bin badal barsat ho jaisay,tujhay choonay ka ehsas ho jesay,jab din k nazaray so jaen,phr chaand se baten ho jaen,khwab mien khwab hum ho jaen,
alfaz hawa mien kho jaen,
aap sath chalo to chaltay hain...
Ek ajab si paheli hai zindagi,
sabke saath hote huye bhi, akeli hai zindagi,
kabhi tu ek piyaara sa armaan hai zindagi,
to kabhi dard se bharaa tufaan hai zindagi
,
kabhi to gulon se bharaa gulistan hai zindagi,
to kabhi kanton se bhaara raasta hai zindagi,
kabhi phulon jaisi masoom ho jati hai zindagi,
to kubhi gunahon ka bojh ban jati hai zindagi
koi to bataa de mujhe kya hai zindagi ?
sunaa hai chand roz ki mehmaan hai zindagi,
zindagi ko chhod ek din jaana padegaa,
mott ko uss pal galen lagaana paregaa,
zindagi se chahe jitnaa piyaar tum kar lo,
hoti to aakhir bewaffa hai zindagi. . . . . ;->
From:
Na gila kya na khafa huey
yunhi raste main juda huey,
na wo bewafa tha na main bewafa,
jo guzar gya so guzar gya,
wo ghazal ki aik kitab tha,
wo gulon main aik gulab tha,
zara dair ka koi khwab tha,
jo guzar gya so guzar gya,
wo udas dhop samait kar kahin wadion main uter gya
usey ab na de maire dil sada,
jo guzar gya so guzar gya
ye safer bhi kitna taveel hy
yahan waqt kitna qaleel hy
kahan laut kar koi aaye ga,
jo guzar gya so guzar gya ...