Advertisment

Na Khaaif Hun Mai Nishtar

Na Khaaif Hun Mai Nishtar Se, Na Mai Kanton Se Darta Hun.,
Kisi Ka Dil Dukha Dain Jo, Mai Un Lafzon Se Darta Hun..

Suhane Thay Jo Sab Ke Sab, Wo Lamhe Reh Gaye Peeche.,
Naye Logo, Nayi Baton, Naye Lamho Se Darta Hun..

Zamane Ne Yehi Mera Nirala Tor Dekha Hai.,
Main Gheron Se Nahi Darta, Faqt Apno Se Darta Hun..

Buray Hain Jo Haqiqat Main Magar Zahir Main Ache Hain.,
ELAHI ! Is Zamane Main Un Logo Se Darta Hun..

Uajalon Se Muhabbat Hai Mujhe Ye ThikHai Lekin.,
Jala Dalein Jo Gulshan Ko Mai Un Kirno Se Darta Hun..

Mai Qaail Hun Faqt Unka Jo Aanso Rang Le Aaien.,
Jo Beh Jaien Faqt Yunhi Mai Un Ashkon Se Darta Hun…!!

Advertisment


0.0755548477173