hum tum bin adhore hain
Tumhein ik baat kehni hai
magar naraaz mat hona,
k tum jo har ghari mujko
yun itna yaad aati ho,
humein itna satati ho
k hum tum door hein dono
boht majboor hein dono
na itna yaad aao tum
na yun itna satao tum
k itna yaad aa kar yun
hamein pagal bana k tum
faqat itna bata do k
humari jaan lo gi kia...?
magar ye bi haqeekat hai
tumhari yaad hi to hai
har khushi mein bhi
har gham mein bhi
udasi k palon mein bhi
tumhari yaad hi to hai
jo har pal ye batati hai
mujhe ahsaas dilati hai
hum tum bin adhore hain
hum tum bin adhore hein......
Characters : 641 | Sms Length : 5 | Views : 1256
|
|